MALUMAAT ZAKAAT OR ZURURI

12
KANZULIMAN ISLAMIC LIBRARY ROMAN (URDU) SERIES ZAKAAT OR ZURURI MALUMAAT Zakaat ke talluq se zururi malumaat or suwaal jawaab COMPILED BY WOMEN'S DIVISION (ISLAH UL MUSLIMA) Kanzuliman Foundation www.Kanzuliman.org

Transcript of MALUMAAT ZAKAAT OR ZURURI

KANZULIMAN ISLAMIC LIBRARYROMAN (URDU) SERIES

ZAKAAT OR ZURURIMALUMAAT Zakaat ke talluq se zururi

malumaat or suwaal jawaab

COMPILED BY

WOMEN'S DIVISION (ISLAH UL MUSLIMA)

Kanzuliman Foundationwww.Kanzuliman.org

Zakaat ke talluq se zururi Malumaata guide for Muslims

Compiled byAyesha Siddiqa Razawiya

Haad of Women's division (Islah ul Muslima)Kanzuliman Foundation

Copyleft by Kanzuliman Islamic Library

1st Floor Khanqah Aaliya Qadriya Razawiya Nooria TehsiniaDargah Huzoor Sadrululama, Bareilly Shareef

06 July 2020

Version 1.0

[email protected]

Please include the name of the book in the subject of your mail for specific queries or comments. Permission is hereby granted to reproduce or utilise this material in any form or by any means,electronic or otherwise ,as long as the content remains unchanged. Thisbook is also made freely available by Kanzuliman Islamic Library and canbe downloaded fromwww.kanzuliman.org. Permission is granted to anyoneto print this book for free distribution. Kanzuliman Foundation or any ofits divisions does not benefit financially from the sale of books, nor solicitsany royalties. Permission is also granted to publishers to reprint in their ownname provided the following notice is included in the colophon: “Reprintedwith royalty-free permission from Kanzuliman Foundation".

COMPILED BY

AYESHA SIDDIQA RAZAWIYYAHEAD OF WOMEN'S DIVISION

ISLAH UL MUSLIMA

Mein aur Ramazan

Zakat Ke Masa'il

Zakat Farz Hai Iska Inkaar KarneWala Kafir, Aur Na Dene WalaFasiq O Jahannami Aur Ada KArne Me Dair (Late/ Not On

Time) Lagane Wala GunahGaar O Mardood-ush-Shahadat Hai.(� Aalamgeeri J-1 Safa: 160)

Neez Zakaat Ke Bayaan Me Ba-Kasrat Aayaat Warid HuwiJinse Uska Muhtam BisShaan Hona Zahir Hai.

(� Bahar e Shari'at - Part 5)

Namaaz Ki Tarha Iske Bare Me Bhi Bahot Si Aayaten WaHadeesen Aayi HAin Jinme Zakat Ada Karne Ki Sakht Takeed

Hai.Aur Na Ada Karnewale Per Tarha Tarha Ke Duniya OAakhirat Ke Azaabon Ki Wa'iden Aayi Hain.

(� Jannati Zewar, Zakaat Ka Bayaan)

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat ka Bayaan (Part 1)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library

Mein aur Ramazan

Aur Muttaqi Wo Hai Ke Hamne Jo Unhe Diya Hai,Usme Se Hamari Rah Me Kharch Karte Hain.(Para 1,Al-Baqarah - 3)Unke Malon Me Se Sadqa Lo, Uski Wajah SeUnhe Paak Aur Suthra BAnado. (Para 11,At-Touba-103)Aur Falah Pate Wo Hain Jo Zakat Ada KarteHain. (Para - 18, Al-Mominoon - 4)Aur Jo Kuch Tum Kharch Karoge, Allah Ta'AlaUski Jagah Aur Dega Aur Wo Behtar Rozi DeneWala HAi (Para - 22, SAba - 39)

Allah Ta'Ala Farmata Hai

1.

2.

3.

4.

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat ka Bayaan (Part 2)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library

Mein aur Ramazan

Zakat Kitne Maal Par Wajib Hoti Hai?52.5 Tola Chandi ya 7.5 Tola Sona Ya Itne Paise Jitne Me 52.5 TolaChandi Kharidi Ja Sakti Ho Zakat Wajib Hui.

Zakaat Kitni Dena Wajib Hai?Maal Ka 40wa Hissa Yani Rs.100 Ki 2.50 Zakat Hai Mishal K Taur Par25 Hazar Ki Rs 625. Zakat Hui (Bahar-E-Shari’at Part-5).

Zakat Wajib Hone K Lie Kuch Shartein: Muslman Hona, Balig Hona,Aqil Hona, Azad Hona, Malike Nisab, Pure Taur Pr Malik Hona, NisabKa Hajaat-E-Aslia Se Farig Hona (Yani Ghar Me Istemal Walichizon SeAlag Itna Maal Hona Jitne Par Zakat Wajib He) Maal Ka Apne NaamMe Hona Zaruri Hai, Utni Rakam Par Ek Saal Guzarna Jitni Par ZakatWajib Hai Agar Ek Saal Pehle Zakat Wajib Hone Se Kam Paise The ToUs Par Abhi Zakat Nahi Deni Hogi (Qanune Shariat).

Zakaat Kin Logo Ko Dena Chahiye?Zakat K Masarif 7 hain: 1. Faqeer 2. Miskeen 3. Aamil 4. Ri ‘Qaab5. Garim 6. Fi’sabilillah 7. Ibn-E-Sabeel.

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat ke Talluq se ZururiSuwaal Jawaab (Part 1)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library

Mein aur Ramazan

Faqeer: Wo Hai Jiske Pass Kuch Ho Magar Itna K Nisaab Se KamHo, Agar Kuch Ho Bhi To Hajat-E-Aslia Se Ho Jaise: Rehne Ka GharAur Zindagi Basar Karne Ki Dusri Chizen Jyada Hon Tab Bhi UsyZakat De Sakte Hain. Mas’ala: Agar Uske Pas Kapde Aur Khane KoHoto Bagere Zarurat & Majburi Faqir Ko Sawal Krna Haram Hai(Alamgiri).Miskeen: Wo Hai Jiske Pass Kuch Na Ho Yahan Tak K BadanChhupane Tak K Lie Uska Mohtaj Hai Khane K Lie Kuch Na Ho UskoZakat Dena Jaiz Hai.Aamil: Wo Log Hai Jinko Imaam-Ul-Muslemeen Ne Sadqe WasoolKarne Par Muqarrar Kia Ho Imaam Usko Itna De K Usko Aur UskeMadadgaro Ko Kaafi Ho Magar Itna Na Dia Jaye K Jo Wasool KarLia Hai Uske Aadhe Se Zyada Ho Jaye, Agar Amil Maldaar Ho ToBhi Usko Lena Jaiz Hai (Alamgiri).Riqaab: Se Murad Mukatab Ghulam Ko Dena K Apne Malik KoMaale Zakat Dekar Apni Jaan Churdaye (Continued in the next post)

Zakat K Masarif 7 hain: 1. Faqeer 2. Miskeen 3. Aamil 4. Ri ‘Qaab5. Garim 6. Fi’sabilillah 7. Ibn-E-Sabeel.

1.

2.

3.

4.

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat Kin Logo Ko Dena Chahiye?(Part 2)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library

Mein aur Ramazan

5. Garim: Se Murad Madyoon Hai Yani Uspar Itna Karza Ho K Usay NikalneK Baad Nisab Baqi Na Rahe Agarche Uska Auron Par Baaqi Ho Magar UnseLene Par Qadir Na Ho Magar Shart Yeh K Hashmi Na Ho Usko Zakat DeSakte Hain (Durre Mukhtar)

6. Fi’Sabilillah: Yani Allah Ki Raah Me Kharch Krna Uski Kayi Suratein HainJaise Koi Jihaad Me Jana Chahta Hai Aur Saman Uske Pass Nahi To ZakatKa Maal De Sakte Hai Ya Koi Hajj Krna Chahta He Aur Uske Paas PaisaNahi Magar Usko Mangna Jaiz Nahi, Ya Talib-E-Ilm Jo Ilme Deen SeekhtaHai Usey Bhi Zakat Di Ja Sakti Hai Aise Hi Har Nek Kaam Me Zakat KharchKarna Fisabilillah Jab K Batore Tamlik (Malik Bana Dena) Ho Baghair MalikBanaye Zakat Adaa Nahi Ho Sakti (Durre Mukhtar). Mas’ala: Kuch LogZakat Ka Maal Islami Madarso Me Bhej Dete Hai Unko Chahiye K Bata DiaKarein K Ye Zakat Hai Taki Wo Usko Alag Rakh De Kisi Aur Maal Me NaRakh De Kisi Kaam Ki Ujrat Me Na De Warna Zakat Adaa Na Hogi, (DurreMukhtar).

7. Ibne Sabeel: Yani Wo Musafir Jiske Pass Maal Na Raha K Wo Apne GharNa Ja Sakta Ho Chahe Wo Maaldar Hi Kyu Na Ho Lekin Uske Pass UswaqtNahi Hai To Wo Zakaat Le Sakta Hai Magar Utne Jitni Uski Zarurat HoZyada Lena Uske Liye Jaiz Nahi (In Masail K Hawale K Lie Bahar-E-Shariat,Durr-E-Mukhtar Me Pardhien).

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat Kin Logo Ko Dena Chahiye?(Part 3)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library

Mein aur Ramazan

Allah Ta'Ala Farmata Hai

"Jo Log Allah Ta'Ala Ki Rah Me Kharch Karte Hain Un KiKahawat Us Dana Ki Hai Jis Se Saat (7) Balen Niklen. HAr BaalMe Saw (100) Dane Aur Allah Ta'Ala Jise Chahta Hai ZiyadahDeta Hai Aur Allah Ta'Ala Us'AtWala Hai, Bada Ilm Wala HAi.Jo Log Allah Ta'Ala Ki Rah ME Apne Maal Kharch Karte PhirKharch Karne Ke Baad Na Ehsaan Jatate, Na Aziyyat DeteHain, Unke Liye Un Ka Sawaab Unke Rab Ke Huzoor Hai AurNa Un Per Kuch Khouf Hai NA O Ghamgeen Honge. AchchiBaat Aur Maghfirat Us Sadqe Se Behtar Hai Jiske Baad AziyyatDena Ho Aur Allah Be-Parwah Hilmwala Hai"

Aur Farmata HAi...Neki Hasil Na KAroge Jab Tak Usme Se NaKharch Karo Jise Mehboob Rakhte Ho Aur Jo Kuch KharchKAroge Allah Ta'Ala Use Janta HAi" (Para: 4 Al-Imraan 96)

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat ka Bayaan (Part 3)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library

Mein aur Ramazan

Allah Ta'Ala Farmata Hai

"Neeki Uska Naam Nahi Ke Mashriq O Maghrib Ki Taraf Muh Kardo,NeekiTo Uski Hai Jo AllahTa'Ala Aur Pichle Din Aur Malaika O Kitaab O AmbiyaPer Imaan Laya Aur Maal Ko Us Ki Muhabbat Per Rishtedaron Aur YatimonAur Miskino Aur Musafir Aur Saileen Ko Aur Gardan Chatane Me Diya AurNAmaaz Qayim Ki Aur Zakat Di Aur Neek Wo Log Hain Ke Jab KoiMu'Ahida Karen To Apne 'Ahad Ko Pura Karen Aur Takleef O Musibat AurLadai Ke Waqt Sabr Karne Wale Log Sachche Hain Aur Wahi Log MuttaqiHain." (Para - 2 Al-Baqara - 177)

"Jo Log Bakhl KArte Hain Uske Sath Jo Allah Ne Apne Fazl Se Unhe Diya.WoYe Gumaan NA KAren Ke Ye Unke Liye Behtar Hai Balke, Ye Unke Liye BuraHai. Us Cheez Ka Qayamat Ke Din Unke Gale Me Touq Dala Jayega Jiske SathBakhl Kiya." (Para - 4 Al-Imraan 18)

"Jo Log Sona Aur Chandi Jam'A Karte Aur Use Allah Ki Rah Me Kharch NahiKarte Hain, Unhe DardNaak Azaab Ki KhushKhabri Suna Do, Jis Din Aatish EJahannam Me Wo Tapayen Jayenge Aur Un Se Unki Peshaniyan AurKarwaten Aur Pithen Daghi Jayengi (Aur Unse KAha Jayega) Ye Wo Hai JoTumne Apne Nafs Ke Liye Jam'A Kiya Tha To Ab Chako Jo Jam'A Karte The." (Para 10,Sure Touba 34-35)

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat ka Bayaan (Part 4)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library

Mein aur Ramazan

Aahadees iske Bayan Me Bahot Hain Baaz Unme se Hain

Saheeh Bukhari Shareef Me Abu Hurairah RadiAllahuTa'Ala Anhu Se Marwi,RasoolAllah Sallalalhu Alaihi waSallam Farmate Hain: "Jis Ko Allah Ta'AlaMaal De Aur Wo Uski Zakaat Ada Na KAre To Qayamat Ke Din Wo MaalGanje Saanp Ki Surat Me Kar Diya Jayega, Jis Ke Sar Per Do ChittiyaanHoo(N)Gi.Wo Saanp Uske GAle Me Touq Bana Kar Dal Diya Jayega Phir UskiBachen Pakdega Aur Kahega My Tera Maal Hoon,My Tera Khazana Hoon."Uske Baad Huzoor(Sallalla hu Alaihi WaSallam) Ne Is Aayat Ki Tilawat Ki

ذِينَ يَبخَلؤُن٠َبَنٌَ الٌَ وَلاَ يَحسََ

Isi KE Misl Tirmizi Wa Nisai Wa Ibn e Maja Ne Abdullah Bin MasoodRadiAllahuTa'al aAnhu Se Riwayat Ki.

Hadees Shareef: Ahmed Ki Riwayat Abu-Hurairah RadiAllahu Anhu Se YounHai, "Jis Maal Ki Zakaat Nahi DiGayi, Qayamat Ke Din Wo GanjaSaanp(Saanp Jab Hazaar Bars Ka Hota HAi To Uske Sar Per Baal Nikalte HainAur Jab Wo Do Hazaar Bars Ka Hota hAi, Wo Baal Girjate HAin. Ye Ma'aniHain Ganje Saanp Ke, Ke Itna Purana Hoga.) Hoga ,Malik Ko Darayega, WoBhagega Yahan Tak Ke Apni Ungliyaan Uske Muh Me Daaldege." (Bahar eShari'at - Part 5)

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat ka Bayaan (Part 5)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library

Mein aur Ramazan

Aahadees iske Bayan Me Bahot Hain Baaz Unme se Hain

Hadees Shareef: Saheeh Muslim Shareef Me Abu Hurairah RadiAllahuAnhu Se Marwi, Farmate Hain Huzoor SallallahuAlaihi WaSallam: Jo shakhsSonay Chandi Ka Malik Ho Aur uska Haq Ada Na Kare To Jab QayamatKa Din Hoga Uske Liye Aag Ke Patthar Banaye Jayenge un Per Jahannum KiAag Bhadkayi Jayegi Aur Unse Uski Karwat Aur Peshani Aur Peeth DaghiJayegi, Jab Thande Hone Per Aayenge Phir Waisehi Kar Diye Jayenge. YeMu'amulah Us Din Ka hai Jis Ki Miqdaar Pachaas (50) Hazaar Bars HaiYahan Tak Ke Bandon Ke Darmiyaan Faisla Ho Jaye, Ab Wo Apni RahDekhega Khwah Jannat Ki Taraf Jaye Ya Jahannam Ki Taraf"

Aur Oont Ke Bare Me Farmaya: Jo Iska Haq Nahi Ada Karta, Qayamat KeDin Hamwaar Maidaan Me Latkayenge Aur O OOnt Sab Ke Sab NihayatFarba Ho Kar Aayenge, Paoon Se Use Rondenge Aur Muh Se Katenge , JabUnki Pichli Jama'at Guzar Jayegi,Pehli Loutegi Aur Gaye Aur Bakriyoun KeBare me Farmaya: Ke Us Shakhs Ko Hamwaar Maidaan Me LatkayengeAur Wo Sab Ki Sab Aayegi, Na Unme Mude Huwe Sing ki Koi Hogi , NaBe-Sing Ki, Na Tute Sing Ki Aur Singon Se Maaregi Aur Kharon SeRondengi. Aur Isi Ke Misl Sahiheen Me Oont Aur Gaye Aur Bakriyon KiZakaat Na Dene Me Abu Zar RadiAllahuAnhu Se Marwi. (Bahar e Shari'at- Part 5)

Zakaat

To join, visit: www.Kanzuliman.org/Join-us

Zakaat ka Bayaan (Part 6)

Follow us on Twitter: @Kanzuliman92Like us on Facebook: facebook.com/KanzulimanLibrary

Kanzuliman Islamic Library