The True Face of Ayesha Bint

70
Ayesha bint-e-Abubakar tareekh ki roshni main…(Hazrat ayesha se sarzad honay waley jarayem ka ahl-e-sunnat ki motaber kutub se inkishaaf) Aur iss article main mandarjazail umoor per roshni daali gai hai.. 1-Ayesha aur Surah-e-tehreem ka khitaab.. 2-Ayesha aur nafarmani-e-Rasool 3-Ayesha ka Bibi Khadija(s.a) se bughz 4-Ayesha aur Mola Ali(as) se bughz 5-Ayesha ka Ali(as) ki baaz fazeelaton ko chupaana 6-Jang-e-Jamal Her tarah ki tareef or humd sirf aur sirf wahid o yakta parwardigar Allah(jj) ke wastey hai jo awal bhi hai aur akhir bhi magar aisa awal hai ke usski koi ibtida nahi aur aisa akhir hai k jiski koi inteha nahi wo Qadeem hai humesha se hai aur humesha rahega durood o salaam ho usskey Nabi Muhammad(saw) per aur Muhammad(saw) ki Aal-e-Tayyib o tahir per or Allah ki lannat ho inkey dushmanon per aur un per jinhon ne inka haq ghasb kiya or inkey amr-e-azeem ka inkar kiya aur lannat-e-Elahi ho ussper jisney inkey dushmanon ko dost jana or unki tazeem o ikraam kiya….

description

ayesha ke jarayem

Transcript of The True Face of Ayesha Bint

Page 1: The True Face of Ayesha Bint

Ayesha bint-e-Abubakar tareekh ki roshni main…(Hazrat ayesha se sarzad honay waley jarayem ka ahl-e-sunnat ki motaber kutub se inkishaaf)Aur iss article main mandarjazail umoor per roshni daali gai hai..

1-Ayesha aur Surah-e-tehreem ka khitaab..

2-Ayesha aur nafarmani-e-Rasool

3-Ayesha ka Bibi Khadija(s.a) se bughz

4-Ayesha aur Mola Ali(as) se bughz

5-Ayesha ka Ali(as) ki baaz fazeelaton ko chupaana

6-Jang-e-Jamal

Her tarah ki tareef or humd sirf aur sirf wahid o yakta parwardigar Allah(jj) ke wastey hai jo awal bhi hai aur akhir bhi magar aisa awal hai ke usski koi ibtida nahi aur aisa akhir hai k jiski koi inteha nahi wo Qadeem hai humesha se hai aur humesha rahega durood o salaam ho usskey Nabi Muhammad(saw) per aur Muhammad(saw) ki Aal-e-Tayyib o tahir per or Allah ki lannat ho inkey dushmanon per aur un per jinhon ne inka haq ghasb kiya or inkey amr-e-azeem ka inkar kiya aur lannat-e-Elahi ho ussper jisney inkey dushmanon ko dost jana or unki tazeem o ikraam kiya….

Aama hazraat ne jahan aur itney dhair saarey kazaab ki taqleed main shia per bebuniyaad or khudsaakhta ilzamaat aayid keeay unhee main se awam-un-naas k zehno main ye zeher bhi bhar diya gaya hai ke shia umhaa-tul-Momineen k dushman hain unko nahin maantey aur iss zaman main motaber ahadees ko bhi rad kartey hain aur quran ke atal faislon ke agey sar tasleem-e-kham nahi kartey tehkeek pasand doston se arz hai k in ilzamaat main zara baraber sachaai se kaam nahi liya gaya balkey sirf or sirf All-e-Muhammad(a.s) ki adawat main unkey haqeeqi muhibon ko pust karney ki kawish hai jo hikmat-e-amli k tehet sada loo awam k zehno main phelaai jaati hai shia jin aqayed k motaqid hain unhey kehney main wo sharm mehsoos nahi kartey jesa k hum chand aisey afraad ko nahi maantey jo sohbat-e-Rasool(saw) main rahey magar ahl-e-sunnat ki motaber kutub iss baat ki shahid hain k unsey beshtar jarayem saadir huey jesa ke qol-e-Elahi ki nafarmaani qol-e-Nabi(saw) ki nafarmaani Ahl-e-

Page 2: The True Face of Ayesha Bint

bait(asws) se na rawa sulook ahl-e-bait(saw) se unkey huqooq cheen’na inhee wujoohaat ki bina per shia in chand afraad ka bycott kartey hain aur iss bat main haq bajanib hain yaqeenun Nabi(saw) ne ghadeer-e-khum k makaam per Ahl-e-bait ki itaat or Ameer-ul-Momineen(asws) ki imamat o khilafat ka elaan kardiya tha or yeh bhi irshad farmaya tha ke main tumhain apni ahl-e-bait(asws) k mutalliq khas wasiyyat karta hun or unkey baarey main tum logon ko Allah ka hukm yaad dilaata hun magar isskey bawajood logon ne na tou Ahl-e-bait(asws) ki itaat ki or na Ameer-ul-Momieen(asws) ko apna imam maana jubkey nus-e-Qurani or nus-e-Nabwi(saw) ka warood bhi iss zaman main tha aur kuch Sahaba(r.a) or umhaa-tul-Momineen(r.a) ne Ameer-ul-Momineen(asws) he ko apna haqeeqi imam,hadi or khalifa-e-Mansoos tasleem kiya jin main SulemanFarsi,Miqdad bin aswad kandi,Abuzar ghaffari,Amar ibn-e-Yasir,Jabir ibn-e-Abdullah ansari,Abbas ibn e abdul mutlib,Fazl ibn-e-Abbas,Abdullah ibn e abbas,Abdullah ibn e masood,Abu tufail,Abu ayoob ansari,Abu Saeed Khudri aur maalik ibn e nuwera(Rizwanullah alaihim ajamaeen),ziyada mashoor hain aur umhaa-tul-Momineen(r.a) main janab-e-umm-e-salma(r.a) ka kalaam iss zaman main kasrat se waarid hua hai…yeh kehna k shia abubkar,umer or usman se jaan boojh kar bughz rakhtey hain or unper lannat kartey hain aik jhooti mungharat or khudsaakhta baat hai kyunke ager shia ki abubakar se koi zaati dushmani hoti tou shia kabhi bhi abubakar ke sagey betey Janab-e-Muhammad(r.a) bin abubakar ki iss qadr tazeem na kartey or unsey be hud muhabbat kabhi na kartey aur usman bin afaan ke sagey betey abaan(r.a) bin usman ki bhi itni ziyada tazeem na kartey aur unsey bhi muhabbat na kartey hum yeh batana chahtey hain k yeh dono hazraat Muhammad o Abaan humaarey leay humarey aqa ki hesiyyat rakhtey hain or hum inkey paaoun ki dhool apne saron main daalney per fakhr mehsoos kartey hain ager humari abubakar waghera se zaati dushmani hoti tou hum unki sagi olaad se bhi dushmani rakhtey magar in hazraat se humari muhabbat ki wajha sirf or sirf hub-e-All-e-Muhammad(asws) hai ye afraad Ameer-ul-Momineen(asws) ko apna imam maantey thay or imam-e-mansoos maantey thay..lehaza kisi ko ye haq nahi pohanchta k baghair kisi wajha k shia ko sahaba ka munkir kahey ooper jin sahaba k naam darj hain hum inki bhi tazeem kartey hain ager hum sahaba k munkir hotey tou hum inhain kyun itna ziyada ehtiraam detey….hazrat Ayesha k mutalliq bhi ahl-e-sunnat logon k zehno main ye fasaad phela rahey hain k shia unhain nahi maantey or jaan boojh kar izhaar-e-bezaari kartey hain per kya he behter hota k ulama-e-ahl-e-sunnat awam-un-naas ko wo wujoohat bhi bataatey jinki bina per shia hazrat Ayesha se bezaar hain or kisi surat unhain momina tasleem nahi karsaktey aur ye tamaam shawahid ahl-e-sunnat ki kutub main mojood hain aur inhee shawahid ki roshni main hum apna istidlal pesh karaingey aur Allah ki zaat se madad talab karaingey…

Jo Kuch Allah ne Hazrat Ayesha ko khabardar kartey huey farmaya…

Page 3: The True Face of Ayesha Bint

“aye peghamber ap kyun un cheezon ko tark kar rahey hain jinhain ap ke leay Allah ne halaal kiya hai kya ap azwaaj ki marzi k khuwaishmund hain aur Allah bakhsney wala aur meherbaan hai(1)”Khuda ne farz qarar diya hai k apni qasam ko kufara dekar khatam kardejeay aur Allah apka Mola hai her cheez ka janney wala aur sahib-e-hikmat hai(2)”aur jub Nabi ne apni zoja se raaz ki baat kahi or usney doosri ko khabar kardi aur khuda ne Nabi per zahir kardiya aur jub Nabi ne usey issky mutalliq bataya tou kehne lagi apko kese pata chala tou Nabi ne kaha mujhey lateef-o-khabeer ne bataya hai(3)tum dono toba karo yaqeenun tumharey dilon main kaji agai hai ager Nabi k khilaaf itteffaq karogi tou yad rakho Allah isska sarparast hai jibrael naik momineen aur malaika sub isskey madadgar hain(4)ager wo tumhain talaaq bhi de daiga tou khuda ussey tum(dono) se behter biwiyaan atta karega jo musalmaan hongi,momina,ibadatguzar,roza dar,farmabardar kanwari or gher kanwari sub(5)

[Surah-e-Tehreem ayaat 1 to 5]

In ayaat main konsi azwaj-e-Nabi(saw) khitaab hain issper hum zara baad main guftugoo kartey hain pehle ayaat main nazr aaney waley qaabil-e-ghor umoor per gehri nazr kartey hain or jub hum nazr kartey hain tou hum iss nateejey per pohanchtey hain k Nabi(saw) ki ye azwaaj adab-o-tameez k daairey se bilkul bahir chali gai thieen aur inkey dil emaan k baad phir kufr ki taraf palat gaey thay aur iss baat per hujjat Allah talla ka ye qol k “Faqad saghat Quloobukuma” yani inkey dilon main kaji agai hai aisi kaji k ab ye azwaaj Nabi(saw) ke saath khiyaanat tak karney ki jurratmund honay lageen k Nabi(saw) ne aik raaz ki baat kahi jiskey oron se zikr karney per manna farmaya magar issky bawajood Nabi(saw) ko dhoka diya gaya aur Ap(saw) k raaz ko faash kiya gaya..phir hum nazr karaingey Allah k qol k khuda tumse behter azwaaj Nabi(saw) ko atta kardega jo k naik hongi musalmaan hongi ,momina hongi waghera waghera tou iss nateejey per pohanchengey k ye azwaaj deen se khaarij ho chuki thieen kyunke kufr ka itlaaq uss per hota hai jo Nabi(saw) ki nafarmaani karey aur apko jhutlaa dey jesa k irshad-e-Qudrat hai “Kafir log kehtey hain k tum bhejey huey Rasool nahi ho mehboob ap farma deejay k meri nabuwat per Allah or kitab ka sub se ziyada ilm rakhney wala shakhs kafi gawah hain(surah e Raad ayat 43)…Quran ne iss amar ko saabit kiya ke Risalat ka munkir kafir hai or yaqeenun Naframani-e-Rasool(saw) bhi wohi karega jisey Risalat per yaqeen na ho or dil he dil main Rasool(saw) k mutalliq badgumaanion ko jagha deta ho ya deti ho bilkul ussi tarah jese Allah k qol “Faqad saghat Quloobukuma” se zahir hota hai lehaza in ayaat ko mad-e-nazr rakhtey huey ye andaza lagaya jasakta hai ye azwaaj kis qadar jahallat o kufr main bhatak chuki thieen aur Nabi(saw) k mutalliq badgumaanion main mubtilla ho chuki thieen issi leay khuda ne farmaya k Allah tumhain inkey badley wo biwiyaan atta karega jo emaan rakhti hongi kyunke yeh azwaaj tou emaan ki manzil se utar chuki thieen issi leay khuda ne farmaya hum tumko naikokar or emaan waliyaan ata karaingey…aur yaqeenun in azwaaj k dil main Nabi(saw) k khilaaf koi mansooba peda hua tha maslan k Nabi(saw) ko shaheed karna

Page 4: The True Face of Ayesha Bint

ya koi aur nuqsaan pohanchaana lehaza forun Khuda ne farmaya k mere Nabi(saw) ko akela mat samajhna ya issky khilaaf saazishain mat karna kyunke khuda isska sarparast e alla hai malaika issky hum nawa hain or emaan waley momineen isskey wafadar hain…ab hum un riwayaat ko naqal kartey hain jo in ayaat ki tafseer main waarid hueen or pata chal jayega k in ayaat main kin biwion ko khitaab kiya gaya tha…

Bokhari ne apni sahih kitab ul tafseer main Ayesha se riwayet ki hai k ye ayaat Ayesha bint e abi bakar or hafza bint e umer k mutalliq naazil hueen(1)

Bokhari he ne umer bin khataab se riwayet ki hai k ye ayaat Ayesha o hafza k mutalliq naazil hueen(2)

Bokhari ne isski misl aik or sanad se ibn e abbas(r.a) k zareeay se isey umer se riwayet kiya hai k in ayaat ki misdaaq Ayesha o hafza hain(3)

1- Sahi Bokhari jild 2 safa 983 kitab ul tafseer rakam 2019 matboa fareed book stall Lahore…

2- Sahi Bokhari jild 2 safa 983,984 kitab ul tafseer rakam 2020 matboa fareed book stall Lahore…

3- Sahi Bokhari jild 2 safa 986 kitab ul tafseer rakam 2021 matboa fareed book stall Lahore…

Aur issey trimazi ne bhi ibn-e-Abbas(r.a) k hawaley se umer bin khataab se riwayet kiya hai k ibn e Abbas(r.a) ne poocha wo 2 azwaj e Nabi(saw) konsi hain jinkey mutalliq Allah fermata hai k toba karlo or tumharey dilon main kaji agai hai tou umer ne jawab diya Ayesha or hafza(4)

4-Tirmazi al jamia ul sahih jild 2 abwab ul tafseer ul quran safa 406 rakam 3103 matboa daarul ishaat M.A Jinnah road urdu bazaar Karachi…

Or hadis k zail main tirmazi ne likha hai k hai ye hadees Hassan,sahih,ghareeb hai or yeh kai sanadon se ibn-e-Abbas(r.a) se manqol hai….

Umer bin khataab ne ibn e abbas(r.a) ko aik poora qissa sunaya tha jismey yeh baat bhi hai Nabi(saw) ki azwaaj Huzoor(saw) ko munh tor jawab detieen or subha se rat tak Nabi(saw) se baat cheet na karteen(yeh azwaj hain jinhain Nabi(saw) se baat karney ki tameez bhi nahin) or hazrat umer ne kaha jis biwi ne bhi ye kaam kiya hoga wo bohot nuqsaan main parhi hogi jiskey likhney ki gunjaish mojood nahi hum scan pages upload kar rahey hain qarieen mutalla karsaktey hain…

Page 5: The True Face of Ayesha Bint
Page 6: The True Face of Ayesha Bint
Page 7: The True Face of Ayesha Bint
Page 8: The True Face of Ayesha Bint
Page 9: The True Face of Ayesha Bint
Page 10: The True Face of Ayesha Bint
Page 11: The True Face of Ayesha Bint
Page 12: The True Face of Ayesha Bint
Page 13: The True Face of Ayesha Bint
Page 14: The True Face of Ayesha Bint

Tirmazi ne khud kaha k yeh hadees Hassan,sahih,ghareeb hai or kai asnaad se ibn-e-Abbas(r.a) se manqol hai isskey elawa bohot si ahl-e-sunnat ki kutub main ye riwayaat mojood hain jesa k tafaseer waghera main magar choonkey hum ne 2 motaber tareen sunni kutub se iss riwayet ko pesh kardiya hai iss leay baaqi maanda kutub se hawala jaat dainey ki gunjaish nahi aur jubkey ye amar saabit ho chukka hai in ayaat ka nazool Ayesha o hafza k mutalliq tha tou her khas o aam iss baat se bakhoobi waaqif ho chukka hoga k Hazrat Ayesha kis tarah ka kirdaar rakhti thieen or unka emaan kitna kamzor tha k Allah azawajal ne unhain tanbeeh ki k sudhar jao her koi yeh sochney ka haqdaar hai k shayed Ayesha ne iss waqiya k baad toba karli ho aur baad main wo naik hogai hon or Huzoor(saw) ki taabeydaar hogai hon magar unki soch aur daawa uswaqt tak mustehkum hai jub tak unhain aisi riwayaat ka zakheera mil jaaey k Ayesha ne toba karli thi or issky baad unhon ne kabi bhi Nabi(saw) ki nafarmaani nahin ki aur ager aisa hota tou yaqeenun ayesha k leay taveel ki jaati lekin haqeeqat issky bilkul bar,aks hai balkey inhee motaber tareen kutub main mojood hai k Ayesha ne dobara Nabi(saw) k hukm k khilaaf amal anjaam diya or Huzoor(saw) ki nafarmaani ki… Nabi(saw) ki marz se mutalliq aik riwayet hai jismey Ap(saw) ne mana farmaya tha mere munh main koi cheez mat daalna magar Ayesha ne Ap(saw) k iss qol ki nafarmaani ki aur Ap(saw) k munh main kuch daalna chaha…

Chunaanchey obaidullah ibn e Abbas ne Ayesha se riwayet ki hai k marz main mene Huzoor(saw) k munh main dawai daali jubkey Ap(saw) mana farma rahey thay k na daalo jese koi mareez bemaari main karahta hai aur mene Ap(saw) se kaha Ap yun mana farma rahey hain jese mareez mana karta hai tou Nabi(saw) ne farmaya kya mene tum se nahi kaha tha k mere munh main kuch mat daalna pus iss ghar main koi na bachey her aik k munh main yai dawai dalo siwaey mere chacha Abbas k kyunke wo tumharey sath nahi thay(yani tum logon ki sazish main shamil na thay)…

Sahi Bokhari jild 3 kitab ul diyaat safa 693 rakam 1790 matboa fareed book stall Lahore…

Page 15: The True Face of Ayesha Bint
Page 16: The True Face of Ayesha Bint

Hadis no 1780 main ye he riwayet aik aur sanad se bhi Ayesha se manqol hai ager nazr andaz kiya jaaey tou ye riwayet kuch bhi nahi lekin ager ghor se iss riwayet ko parha jaaey tou yeh riwayet bohot se inkishafaat kar rahi hai aur jo qaabil-e-ghor umoor iss riwayet main hain wo darja zail hain…

1-Huzoor(saw) ne mana kiya tha k mere munh main kuch mat daalna magar Ayesha ne issky mukhalif amal anjaam diya…

2-Nabi(saw) ki taraf yeh baat mansoob karna k ap aisey mana kartey hain jese koi mareez karahta hai or mana karta hai k na daalo…

3-Rasool(saw) ka Ayesha ko daantna aur yeh kehna k kya mene tumhain mana nahi kiya tha…

4-Nabi(saw) ka yeh farmana k ab tum sab apne apne munh main iss dawai ko daalo…

5-Ap(saw) ka yeh farmana k mere chacha k munh main mat dalna kyunke wo tumharey saath nahi thay…

In umoor ki tafseel hogi tou ap dekhengey ke Ayesha k kitney ehem jarayem bokhari ki iss choti si riwayet main posheeda hain…atey hain nukta-e-awal ki taraf Nabi(saw) ne apni azwaj ko mana kiya tha k mere munh main koi cheez mat daalna khateeb-e-Quran ki her baat hikmat se bharpoor hoti hai or Nabi(saw) ka koi bhi qol ya fehel abs or fuzool kamo se bari hota hai kyunke Ap(saw) munazza hain in sifaat se yaqeenun jo Allah ki taraf se Nabi(saw) jaantey hain wo aur koi nahi janta issmey yaqeenun koi hikmat thi k Nabi(saw) ne mana farmaya aur hum dekhtey hain k Ayesha he ne wo kaam kiya jis se Nabi(saw) ne mana farmaya aur saabit hua k Ayesha ne tehreem ki hurmat k baad aik martabah phir Nabi(saw) ki nafarmaani ki…

2-Huzoor(saw) ki taraf iss baat ko mansoob karna k Ap shiddat e marz ki wajha se aisa keh rahey thay k mere munh main dawai mat daalna…Nabi(saw) bemaari main aisi baat keh saktay hain k jo hosh se bilkul bahir ho ye aqeedah un logon ka hosakta hai jinhon ne kabi nabuwat per yaqeen he na kiya ho Nabi(saw) per aisi kefiyaat ka taari hona mumkin he nahi tou kese kaha jasakta hai k Huzoor(saw) maazallah waswasey main thay aur jis tarah ki baat Nabi(saw) ki taraf mansoob ki gai wo sifaat chotey bachon ki hoti hain jo bemaari main zid kartey hain or kehtey hain k humain dawaai nahi laini tou kya Huzoor(saw) ka zehn-e-mubaarik maazallah bacha hogaya tha jo ap zid farma rahey thay k aisa mat karna ye kefiyaat nabi(saw) per kese ghaalib asakti hain koi bhi baat Nabi(saw) bagher hosh k kese keh saktey hain ye kese Nabi(saw) ki koi guftugoo khuda ki marzi k bagher hosakti hai jubkey khuda apni mohkam tareen kitab main fermata hai “Habeeb hum ne tujhey aik pal ke leay bhi tanha nahi chora” aur

Page 17: The True Face of Ayesha Bint

yahan Ayesha k doosrey jurm ka inkishaaf bhi hota hai k unhon ne Nabi(saw) ki taraf aam insan ki nisbat di jin per waswasey or asiyaan taari hojaatey hain magar haqeeqat isskey bilkul bar’aks hai Abu naeem waghera ne dalayel-e-Nabuwat main biyan kiya hai Nabi(saw) ne farmaya meri ankhain soti hain magar mera dil nahi sota tou kya huzoor(saw) ki yeh hadees aik khas waqt k leay makhsoos thi ya phir apki tamam hayaat k leay makhsoos thi yeh tou bari jahilana soch hai k Nabi(saw) per aisi kefiyyat taari hogai thi k unhain kuch samajh nahi araha tha kyun Ap(saw) uswaqt Nabi nahi thay???lehaza saabit hua k Ayesha ne nabi ki nafarmani bhi ki or Ap(saw) ki nabuwat o ismat per ilzam bhi lagaya k ap per bemaari ghaalib thi maazallah…ab insaf se bataeay k Nabi(saw) ki taraf aisi kefiyaat ki nisbat dena gustakhi-e-Risalat nahi kya??

3-Huzoor(saw) k mana farmaney per bhi jub Ayesha ne kuch apky munh main dala tou Ap(saw) ne Ayesha ko daanta or wo baat yaad dilaai k kya mene tumhain mana nahi kiya tha..ab ghor kejeay k khuda ka Nabi(saw) jis baat se mana kardey uss kam ko wohi shakhs anjaam dega jiska Nabi(saw) per emaan kamzor hoga Huzoor(saw) k mana karney per bhi Ayesha ka yeh kaam anjaam daina Nabi(saw) ki nafarmaani or gustaakhi k zumrey main nahi aata kya?iss se saabit hua Ayesha ne Nabi(saw) ki nafarmani bhi ki or ap(saw) ko takleef bhi pohanchaai issi leay Ap(saw) ne unhain daanta…or Allah fermata hai”wo log jo mere nabi ko ezaa daitey hain unkey leay dardnaak azab hai(toba 61) Aur Nabi(saw) ki nafarmani Allah ki nafarmani hai bilkul ussi tarah jese”jisney rasool ki itaat ki ussney Allah ki itaat ki(1)

“Beshuk jo log apki bayyat kar rahey hain wo Allah ki bayyat kar rahey hain(2)

“Jub ap ne kankariyaan phenki thieen tou wo ap ne nahin balkey Allah ne phenki thieen(3)

1-Surah-e-Nisa ayat 4

2-Surah e Fatah ayat 48

3-Surah-e-anfaal ayat 8

Chothey amr per ghor karo ye bohot ziyada ehem hai sunni,shia kitabain bhari parhi hain k Huzoor(saw) ki bemaari main Ayesha ne apki tamam azwaj se ijazat chahi k Huzoor(saw) Ayesha k haan aqamat pazeer hon kya ap samjhey k Ayesha ka kya maqsad tha Nabi(saw) ko apne ghar main laaney ka???ghor karo iss jumley per jo Nabi(saw) ne farmaya k ab tum sab iss dawa ko apne apne munh main daalo kyun farmaya Nabi(saw) ne k tum sub issey apne munh main daalo kyunke Nabi(saw) ko yaqeen tha k iss main zeher hai yaqeenun tehreem main khuda ne khbardar kardiya tha Ayesha or hafza ko k mere Nabi(saw) k khilaaf koi saazish mut karna kyunke tum aisa kuch nahi kar paogi abu naeem dalayel main biyaan kartey hain k Huzoor(saw) ko zeher alood gosht pesh kiya gaya tou wo gosht bol utha k “asalam o alaikum ya

Page 18: The True Face of Ayesha Bint

rasoolallah ana masmoom” aye Allah k Rasool(saw) main zehr alood hun tou Ayesha ne kese soch lia k wo apne iraadey main kamyab hojaengi jubkey Allah ne Ayesha ko khabardar bhi kiya tha k tum aisa kuch nahi kar paogi…iss bat main kitni sadaqat or jurm-e-azeem chupa hai yeh paanchvain nuktey se bilkul waazey hojaata hai Huzoor(saw) ka yeh farmana k mere chacha ko mat pilana kyunke wo tumharey saath nahi thay..yani hazrat Abbas(r.a) iss saazish main shamil nahi thay ab kisi qism ka shak nahi bachta k uss dawai main zehr tha aur ayesha ne Nabi(saw) ko zehr pilana chaha kyunke ager aisa na hota tou huzoor(saw) kabhi ye na kehtey k Abbas(r.a) ko mat pilana kyunke Ap(saw) ko khof tha k mere chacha be gunnah na maarey jayen hum heraan hain k yahan riwayet khatm kyun hojaati hai bokhari ne isey mazeed biyaan kyun nahi kiya ya Ayesha ne mazeed kyun nahi waqiya sunaya k jub Nabi(saw) ne farmaya k tum bhi issey pee lou tou isskey Ayesha ne kya kiya???iss per tareekh khamosh hai beherhaal iss riwayet se Ayesha k 3 jarayem saabit hain (1) nafarmani-e-Rasool(saw) (2) Huzoor(saw) ki taraf waswasey or asiyaan ki nisbat dekar Ap(saw) ki gustaakhi karna (3) Ap(saw) ko qatl karney ki koshish karna…

Saabit hua k tehreem ki ayat k baad bhi Ayesha ne toba nahi ki or mukhalifat-o-dushmani-e-Rasool(saw) per datti rahi yai haasil-e-riwayet hai…

Hazrat ayesha Bibi Khadija-tul-Kubra(salam ullah alaiha) se bughz rakhti thieen Ayesha ki apni zubaani…

Tirmazi ne Ayesha se riwayet ki hai or issey Hassan,Sahih qaraar diya hai Ayesha farmati hain k mujhey Nabi(saw) ki azwaaj main se siwaaey Khadija(s.a) ke aur kisi per itna rashk nahi aya (halankey) mera tou nikah he Huzoor(saw) se inki wafaat k baad hua tha lekin Nabi(saw) ne unhain jannat ke aisey ghar ki basharat di thi ke jo motion se bana hua hai jismey na koi takleef hai na koi ezaa…

“Tirmazi al jamia jild 2 abwab ul manaqib safa 607 hadis 3650 matboa daarul ishaat Karachi”

Page 19: The True Face of Ayesha Bint
Page 20: The True Face of Ayesha Bint
Page 21: The True Face of Ayesha Bint

Aur iss hadis se qabl hadis no 3649 main Ayesha he farmaati hain k mujhey Khadjia(s.a) ke elawa Nabi(saw) ki zoja main se kisi per itna rashk nahi aya mera tou Nabi(saw) se unki wafaat k baad nikah hua ager wo aaj zinda hotieen tou najaaney mera kya haal kyunke Huzoor(saw) apko bohot ziyada yad kartey aur bakri zibah kar k Khadija(s.a) ki sahelion ke haan bhejtey issey bhi tirmazi ne Hassan sahih qarar diya hai…ab ap zara ghor kejeay k baqol Ayesha k Nabi(saw) Syeda Khadija tul Kubra(s.a) se itni muhabbat farmaatey thay k her pal Bibi(s.a) ko yad kartey aur jub bhi koi bakri zibah kartey tou usska gosht Bibi Khadija(s.a) ki sahelion ko zaroor bhejtey aur tirmazi ki agli riwayet main Ap dekh he rahey hain k Huzoor(saw) ne farmaya tumhari itibaa k leay chaar ortain he kafi hain jin main Bibi Khadijah(sa) ka bhi naam-e-mubaarik mojood hai ab insaaf se bataaeay k kya aisey khatoon-e-azeem se bughz rakhney wali orat momina kehney k layek hai ye bezaari k layek hai?tum kahan phir rahey ho aqal k andho ye deen-e-islam tou aaj bhi makrooz hai humaari Suchi or haqeeqi maa Khadija tul Kubra(s.a) jiskey maal se Nabi(saw) k deen ko istehkaam mila ho jo Nabi(saw) ki mehboob tareen ho uss se bughz rakhney wali aurat bhi momina hosakti hai ya yeh kese mumkin hai Khadijah(s.a) ki dushman ko Nabi(saw) jannat ki basharat dain aur ussey kahain k Ayesha ki fazeelat orton per aisey he jese sareed ki khanon per yeh hadees bilkul jhooti aur mangharrat hai ager aisa hai tou phir maryum(s.a),Aasiya,Khadijah(s.a) or Fatemah(s.a) ki fazeelat kahan hai aik taraf yeh hadees hai k ye chaar khawateen kainaat ki afzal tareen hai aur waheen ayesha k mutalliq bhi hadees arahi hai yeh kese mumkin hai k Nabi(saw) uss se muhabbat karain jo Khadijah(s.a) se bughz rakhti ho or kese mumkin hai k Khuda uss se muhabbat karey jis se Nabi(saw) ko dukh or takleefain pohanchti hon???humaari tou koi zaati dushmani nahi hazrat Ayesha se wo na kartieen Nabi(saw) ki nafarmaani na kartieen Nabi(saw) k aagey zubaan taraashi na lagatieen Nabi(saw) per waswasey or asiyaan k ilzamaat na koshish kartieen Nabi(saw) ko zehr dainey ki na bughz rakhtieen Khadijah(sa) se tou humain kya takleef thi hum kyun phir Ayesha ko na maantey ager hum Khadijah(s.a) o umm-e-Salma(s.a) ko maan saktey hain tou humain ayesha ko maan,ney main kya karahat thi lekin yeh khawateen Nabi(saw) ki wafadaar thieen inhon ne kbi Nabi(saw) ki mukhaliffat nahin ki hum tou uss se bazaar hain jisney Nabi(saw) ko dukh pohanchaya aur yeh sub hum apko apki kitabon se dikha rahey ager apki kitabon main ye sub na hota tou phir ap humain ghalat keh saktey thay….lekin ap apni kitabon main paaey janey waley haqaiq ko bhi shion ki taraf mansoob kar detey hain….kitni takleef hui Ayesha ko ye jaan kar k Khadijah(s.a) ka ghar jannat main motion se bana hai aur ussmey koi takleef nahi tou hum kyun aisi orat ki tazeem karain jo Khadijah(s.a) se bughz rakhti ho….

Page 22: The True Face of Ayesha Bint

Hazrat Ayesha Mola Ali(as) se bhi bughz rakhti thieen…

Qaabil-e-ghor ibaraton main se aik yeh ibaarat bhi achanak meri nazr se guzri hai k Ayesha ka bughz sirf Khadijah(s.a) tak mehdood nahi tha balkey Khadijah(s.a) ke damaad Mola-e-kainaat saddique-e-akber,Farooque-e-azam Ameer-ul-Momineen(asws) Imam-ul-Mutaqeen(asws) Janab Ali ibn-e-Abi talib(asws) biradar-e-Rasool(saw) se bhi ayesha ke bughz-o-adawat ka yai alam tha…

Chunaanchey ibn-e-Saad ne tabaqaat or Ibn-e-jurair Tabari ne apni tareekh main Obaidullah se biyaan kiya hai ke wo farmatey hain k Ayesha ne kaha jub Nabi(saw) bemaar huey tou aur dard shadeed hogaya tou Ap(saw) ne sub azwaaj se ijazat chahi k meri temaardari mere ghar main ho sub ne Ap(saw) ko ijazat de di Ap(saw) apne paaoun mubaarik zameen per ragartey huey Fazl ibn-e-Abbas(r.a) aur aik doosrey shakhs k hamrah nikley,

Obaidullah farmatey hain ke jo kuch Ayesha ne kaha mene isski khabar jub ibn-e-Abbas(r.a) ko di tou unhon ne farmaya kya tum jaantey ho wo doosra shakhs kon tha jiska Ayesha ne naam nahi liya?mene kaha nahin ibn-e-Abbas(r.a) ne farmaya wo Ali(as) thay inkey kisi kher per Ayesha ka dil khush nahi hota tha…

1-Ibn-e-Saad Al-Tabaqaat jild 1 hissa doem safa 576 matboa daarul ishaat Karachi…

2-Tareekh-e-Tabari jild 2 hissa awal safa 396 matboa nafees academy karachi…(tabari ne in alfaaz main biyaan kiya hai k Ayesha ka yeh dastoor tha k jahan tak hosakta Ali(as) ka zikr kher se na kartieen)…

Page 23: The True Face of Ayesha Bint
Page 24: The True Face of Ayesha Bint
Page 25: The True Face of Ayesha Bint
Page 26: The True Face of Ayesha Bint
Page 27: The True Face of Ayesha Bint

Ayesha ka Ameer-ul-Momineen(asws) se bughz sarasar nafaaq ki alaamat thi kyunke Nabi(saw) ne pehle he farma diya tha k siwaey munafiq ke koi bhi Ali(as) se bughz nahi rakhega or siwaey momin ke koi bhi Ali(as) se muhabbat nahi karega iss hadis ko Hazrat Ali(as) se sub se pehle Muslim bin hajaj ul qusheri ne apni sahih main biyaan kiya hai ke Hazrat Ali(as) ne farmaya ke qasam hai uss zaat ki jisney daana phaara aur jaandar ko peda kiya RasoolAllah(saw) ne mujh se ehed kiya tha ke siwaey momin ke koi shakhs mujh se muhabbat nahin karega or siwaey munaafiq ke koi bhi mujh se bughz nahin rakhega…

Sahi Muslim jild 1 kitab ul emaan baab munaafiq ki alamaat ka biyaan safa 124 hadis 148 matboa Khalid ehsan publishers Lahore…

Issi hadees ko tirmazi ne Bibi Umm-e-salma(s.a) se biyan kiya hai k RasoolAllah(saw) akser farmatey thay k momin k elawa koi Ali(as) se muhabbat na karega or siwaey munaafiq ke koi iss se bughz na rakhega..phir tirmazi farmatey hain ke yeh hadees iss baab main Ali(as) se bhi manqol hai aur iss sanad se Hassan,ghareeb hai…

Tirmazi al jamia jild 2 abwab ul manaqib safa 557 hadis 3489 matboa daarul ishaat Karachi

Ahmed ne apni musnad main Hazrat Ali(as) se issi hadees ko riwayet kiya hai…

Ahmed ibn-e-Hambal Al Musnad jild 1 safa 333 hadis 642 matboa maktaba-e-rehmania Lahore…

Phir issey ibn-e-majah ne Ali(a.s) se apni sunan main riwayet kiya hai…

Ibn-e-Majah Al Sunan Jild 1 safa 65,66 hadis 119 matboa aala hazrat network mohra shareef Islamabad..

Phir issi ko hamidi ne musnad main Ali(a.s) se riwayet kiya hai or isski talkhees main shareh ne isski sanad ko sahih qarar diya hai…

Musnad-e-Hamidi jild 1 safa 182 hadis 58 matboa daarul ruqaa damishq sham

Page 28: The True Face of Ayesha Bint
Page 29: The True Face of Ayesha Bint
Page 30: The True Face of Ayesha Bint
Page 31: The True Face of Ayesha Bint
Page 32: The True Face of Ayesha Bint
Page 33: The True Face of Ayesha Bint
Page 34: The True Face of Ayesha Bint
Page 35: The True Face of Ayesha Bint
Page 36: The True Face of Ayesha Bint
Page 37: The True Face of Ayesha Bint
Page 38: The True Face of Ayesha Bint

Inn riwayaat se qattan saabit hojata hai hazrat Ayesha munafiqa thieen kyunke munafiqeen k khasail main bughz-e-Ameer-ul-Momineen(as) aik bari bhari or waazey

Page 39: The True Face of Ayesha Bint

alaamat hai mene iss hadis ko mukhtasar biyaan kiya hai warna issky mazeed shawahid bhi bohot mazboot hain jesa k Hakim ne mustadrak jild 3 kitab maarifa tus sahaba matboa makka main issey Suleman Farsi(ra) samait Ali(as) or Umm-e-Salma(r.a) se bhi biyaan kiya hai issi tarah Nisaai ne isey khasais or Sunan al kubra waghera main mutaddat tareek se riwayet kiya jinkey zikr ki gunjaish nahin ibn-e-Abbas(r.a) ka qol k Ayesha Ali(a.s) se bughz rakhti thieen ki taeed main kafi riwayaat hain jo ahl-e-sunnat ki kutub se saabit hain Misaal k tor per nisaai ne apni sunan or khasais main umm-e-Salma se basannad-e-sahih biyaan kiya hai Khuda ki qasam Ali(as) RasoolAllah(saw) ko akhri waqt main miley or Huzoor(saw) ne Ap(as) se raaz ki batain kaheen magar nissai he ki riwayet jo k sunan al sughra se hai jo k sunan nisaai shareef k naam se mashoor o maroof hai or saha satta main chattey number per hai k Ayesha ne kaha log kehtey hain Nabi(saw) ne akhri waqt main Ali(as) ko wasiyyat ki thi halankey Ap(as) ne aik tasht manwaga tha peshab karney ke leay phir pata nahin ap ne kisko wasiyyat kardi….

Nissai Al Sunan Al sughra jild 1 kitab ul taharrat hadis 33 matboa makataba tul ilm Lahore…

Jubkey nisaai ne Umm-e-salama(r.a) se biyaan kiya hai k khuda ki qasam RasoolAllah(saw) ko sub se akhir main Ali(as) miley thay pus RasoolAllah(saw) ne Ali(as) ko apne seeney se lagaya or sargoshiaan keen or raaz ki batain kaheen…yeh riwayet bohot taveel hai mene sirf ehem alfaaz ko naqal kardiya hai baaqi qarieen scan page se mutalla karsaktey hain…

Nisaai Khasais-e-Ali(as) safa 144 rakam 161 matboa chishti kutub khana Faisalabad..

Nisaai Sunan Al kubra Jild 5 safa 154 hadis 8540 matboa daarul kutub ilmia beroot Lebanon…

Yaqeenun iss se bhi Hazrat Ali(as) ki fazeelat o bartari saabit hoti hai aur yeh bhi apky khaas manaqib o khasail main se hai magar Hazrat ayesha ne iss bat ka inkar kardiya k Ali(as) Nabi(saw) k pas thay taa k Ali(as) ke baarey main logon ki muhabbat main izafa na ho aur Ali(a.s) k mutalliq kher k kalamaat k warood main kami zahir ho aur apki ziyada fazeelat o bartari zahir na ho issleay hazrat Ayesha se jahan tak hosaka unhon ne Ali(a.s) k fazail ko chupana chaha issper ahl-e-sunnat aiteraaz karsaktey hain k ager aisa hota tou hazrat Ali(a.s) k manaqib main aaney wali kaseer ahadees ki raviya hazrat Ayesha hergiz na hoteen isska jawab hum aagey chal kar daitey hain….

Page 40: The True Face of Ayesha Bint
Page 41: The True Face of Ayesha Bint
Page 42: The True Face of Ayesha Bint
Page 43: The True Face of Ayesha Bint
Page 44: The True Face of Ayesha Bint

Ab hum jawab pesh kartey hain uss shubbey ka k ager Ayesha ko Ali(as) se bughz hota tou wo kabhi bhi Hazrat Ali(as) k manaqib ki baaz ahadees ki raviya na hoteen balkey

Page 45: The True Face of Ayesha Bint

wo Ali(a.s) k fazail ko chupa kar rakhteen aur logon per inhain zahir na karteen isska jawab yeh hai baaz auqaat dushman se bhi fazail nahin chuptey wo shakhs jis se inkar ho or uss se bughz rakha jaaey baaz halaat aisey ronama hotey hain jinki wajha se dushman ko bhi apne dushman ki tareef o madah karni parhti hai bilkul ussi tarah jese Allah talla k iss qol main hai “Ager tum in(kafiron) se pocho ke zameen o asmaan ko kis ne banaya tou yaqeenun wo kahaingey ke Allah ne banaya”[Surah-e-Luqmaan ayat 25,Surah-e-Zumr ayat 38] iss ayat se saabit hota hai ke kafir bhi Allah talla k sharf o azmat se waaqif hain magar issky bawajood wo khuda per emaan nahi laatey aur yeh wajha sirf or sirf inkey nafaaq ki hai issi tarah hazrat Ayesha bhi Ameer-ul-Momineen(asws) k sharf se waaqif thieen magar issky bawajood wo Ali(a.s) se bughz rakhti theen aur isski wajha bhi unka nafaaq he tha kyunke hum peechey Huzoor(saw) ki hadees naqal kar chukkey hain k Ali(as) se bughz sirf or sirf munaafiq he rakhega munaafiq ussey kehtey hain jo chehrey per achaaiaan karey magar peeth peechey buraiaan karey Hazrat Ali(as) ke adoo k leay tou sharayet he aisi hain k wo chehrey per Ap(as) k sharf ka aitraaf karey or peeth peechey unki buraai karey kyunke ye he munafiqeen ki khasaal hain aur iss ayat se saabit hota hai k Khuda k dushman bhi Khuda ki buzurgi ko nahin chupa saktey lehaza aisa hona kese na mumkin hai Ali(a.s) k munkir or dushman bhi baaz auqaat apky fazail biyaan karain…ab ap bakhoobi jaan chukkey hongey k Rasool(saw) k itniqaal k baad ki jo riwayaat waarid huieen k Huzoor(saw) ne abubakar ko imamat ka hukm diya ye hazrat ayesha ne kyun gharieen…aur ye waazey hogaya k Ayesha ne ye riwayaat khud se bana leen kyunke ager wo aisa na karteen tou tareekh bohot se inkishafaat karti aur Ali(as) k elawa aj alam-e-islam main koi shakhs bhi kisi ko Imamat o khilafat ka mustahiq na samajhta issleay Hazrat Ayesha ne Ali(as) ko mazoor karney ki gharz se iss riwayet ko bana lia…

Bguhz-e-Ali(a.s) main Ayesha Nabi(saw) se badtameezi bhi kar bethi…

Nisaai ne noman bin bashir se riwayet ki hai aur isskey tamam raavi siqa hain k abubakar ne Nabi(saw) se ijazat talab ki aur unhon ne Ayesha ki buland awaz ko suna aur wo Ap(saw) se keh rahi thieen main janti hun Ap(saw) Ali(as) ko muh se ziyada pyar kartey hain issper abubakar Ayesha ko thappar maarney ke leay barhey aur kaha aye bint-e-falaan main dekh raha hun k teri awaz Nabi(saw) ki awaz se buland horahi hai pus abubakar ko Nabi(saw) ne pakar liya aur abubakar ghussey se bahir challey gaey…(riwayet mazeed tolaani rakhti hai mene hasb-e-zaroorat darj kardi hai)

Khasais-e-Ali(a.s) safa 111 matboa chishti kutub khana Lahore…

Page 46: The True Face of Ayesha Bint

Nisai,Sunan al Kubra jild 5 safa 139 rakam 8495 matboa beroot Lebanon…

Page 47: The True Face of Ayesha Bint
Page 48: The True Face of Ayesha Bint

iss riwayet k waarid honay ki wajha se humaarey moaqaf ki kai tarah se taeed hoti hai jo ke hum peechey aama ki kutub se saabit kar chukey aur awal tou in riwayaat ki sehet

Page 49: The True Face of Ayesha Bint

per kisi ko shak o shuba nahi magar phir bhi Ali(as) ki mukhaliffat main bar bar Ayesha k aqwal ka saabit hona iss amar main kisi qism k shak ki gunjaish nahi chortay aur iss riwayet k mutaabik tou Ayesha se 2 gunah-e-azeem sarzad huey aik Nabi(saw) ki gustaakhi or doosra Ali(as) se bughz aur hum ooper quran-e-majeed ki ayat pesh kar chukkey hain ke gustaakh-e-Rasool(saw) kufr k zumrey main aata aur ussper bughz-e-Ali(as) ye tamam na qaabil-e-tardeed or naqabil-e-faramosh umoor hain jo Ayesha k kirdar ki wazahat kartey hain aur unkey asli chehrey ko duniya k saameny pesh kartey hain aur pichley article main biyaan ho chukka hai k abubakar or umer ko tanbeeh kartey huey Allah ne quran main irshad farmaya k jese apas main batain kartey ho wese mere Nabi(saw) se baat mat kiya karo kaheen tumhare saarey amaal zaya na hojayen aur issey hum ne ahl-e-sunnat ki motaber kutub se saabit kar chukkey hain sabot ke leay browse kejeay(Khulufa1 on scribd) lehaza aik tarah se iss ayat ki misdaaq Ayesha bhi hueen agerchey ye tanbeeh abubakar o umer k leay thi magar issmey shamil her ehl-e-emaan hai kyunke jub in hazraat se ye waqiya ronuma hua tou forum khuda ne inhain tanbeeh kiya jis se maloom hota hai k her aik gustaakh-e-Rasool(saw) isska misdaaq hai humaari modibaana guzarish hai k apni in motaber kutub main in dalayel ko dekh lejeay or khuwa makhuwa shia per ilzamaat ayed mat kejeay k shia bagher kisi wajha k Ayesha se bezaari keay huey hain… maloom hua k Ayesha Ali(as) ke bughz main itna kho chukka thieen k unse RasoolAllah(saw) ki Ali(as) se muhabbat hazam na hoti thi aur bughz-e-Ali(as) ne Ayesha ko Nabi(saw) se guztaakhi tak karney ki jurrat de di hum bhi tou yai kehtey hain k Allah ki lannat ho Mustafa(saw) ke gustakhon per Allah ki lannat ho Ali(as) se bughz rakhney walon per chahey wo sahaba main se he kyun na hon bughz-e-Ali(as) ki wajha se tou her koi munaafiq hojata hai khuda apko aqal dey taa k ap bhi haq or batil main tafreeq ki jurrat karsakain(Elahiameen)…

Ayesha ke dil main boey huey bughz-e-Ali(a.s) ke beej usswaqt numayaan hotey hain jub talha o zubair Ameer-ul-Momineen(asws) ki bayyat tor kar Ayesha ko Ali(a.s) se jung per amaada kartey hain log najaaney kyun nahi inn waqiyaat se hidayet haasil kartey kitni makaari o chalaaki ke sath talha o zuber ne Ali(a.s) ko dhoka diya pehle madinah main Ap(a.s) ki bayyat ki aur phir umraa ke bahaaney Madinah se nikal parhey logon per zahir kiya ke hum Allah k ghar haazri dainey jarahey magar unkey iraadey kitney badtareen thay aur abhi taza taza Usman ka qatl waqiya hua tha jub Ayesha ne iss surat-e-haal ka jaiza liya tou unkey pas iss se nadir moqa aur koi nahi tha k wo Ali(as) per apne bughz ko pori tarah zahir kartieen aur logon ko Ali(as) ke khilaaf amaada akrteen qatl-e-usman ka ilzam Ali(as) ke sar laga kar idher ashaab-e-jamal Ahl-e-sunnat ke nuqta-e-nazr k mutaabiq bhi khalifah-e-barhaq k khilaaf jung k leay rawana huey kyunke inhee logon ne Ali(as) ko khud per khalifah muqarar kiya tha kher jub Ayesha ka lashker wadi-e-hawaab tak pohanchta hai tou aik bari maroof riwayet jo ahl-

Page 50: The True Face of Ayesha Bint

e-sunnat ki kutub main bhi tawatur se paai jaati hai yad ajati hai jo ke yahan per naql karni bohot ehem aur zaroori hai…Hakim ne qais bin abi hazim se riwayet ki hai ke jub bani aamir k kuttey hazrat Ayesha ki taraf bhonkey tou Ama jaan ne kaha yeh konsi jagah hai kaha gaya yeh wadi-e-hawaab hai tou Ayesha ne kaha mene apne kanon se Rasool(saw) ko farmatey huey suna hai ke tum main se aik ki uswaqt kya kefiyyat hogi ke jub wadi-e-hawab k kuttey usski taraf bhoonkengey…

Hakim, Al Mustadrak jild 3 safa 139 hadis 4677 matboa makka..

Iss riwayet ko parh kar aik shehr yad ajata hai…

Hosh tou kar Mat Gira Apni Itni Qeemat Aye Isnan

Ali(a.s) Ke Dushman Pe Kuttey Bhi Lannat Kartey Hain

Iss riwayet se maloom hota hai ke Nabi(saw) jese baaqi kuch khabrain pehle se jaantey thay ussi tarah jang-e-jaml k mutalliq bhi apko ilm ho chukka tha ke meri biwion main se aik biwi he Ali(a.s) se jung karegi aur iss wali-e-kamil ke khilaaf khurooj per Ayesha ko yeh khiraaj-e-tehseen bhi milega k kuttey bhi unki taraf bhoonkengey ager Ayesha jung na karteen ya doran-e-jung baaz ajateen aur Ali(a.s) k haq ka iqrar karleteen tou yahan bhi Ayesha k leay taveel mumkin thi magar riwayaat batlaati hain k jaml uswaqt tak jaari rahi yahan tak ke Ayesha ko shikast hogai aur unki onthni ki koonchain kaat di gayeen rahi baat talha o zuber ki tou zuber ko tou khof-e-Khuda aur Hadis-e-Rasool(saw) ki yad ne Ali(a.s) se jung karney per maaney kardiya magar talha ne yaqeenun jung ki aur qatl hua aur jahanum raseed hua jo shakhs yeh kehta hai talha bhi shaheed hua tha tou wo bhi yaqeenun Ayesha ki taqleed main bughz-e-Ali(a.s) ka dars haasil karta raha hai jubkey talha ka qatl Ameer ul Momineen(asws) per wajib ho chukka tha ye isleay ke Khuda apni mohkam kitab main irshad fermata hai “Aur jub yeh ehed o pemaan tor kar tumharey deen main taana zani karain tou tum bhi in kufr k sardaron ke sar maar uraao inka emaan main koi hissa nahin mumkin hai wo aisey baaz ajayen”(SURAH E TOBA AYAT 12)

Yaqeenun talha o zuber ne pehle ehd o pemaan keay phir ussey tor diya tou jisney akhri waqt tak jung ki wo na sirf kafir hua balkey kafiron ka sardar qarar paya aur talha yaqeenun kufr ka sardar tha aur yeh shia nahin keh rahey balkey Quran keh raha hai…Ayesha ka iqdaam bilkul batil tha kyunke wo janti theen haq humesha Ali(a.s) ke sath rehta hai aur isska izhaar unhon ne khud jung haarney k baad hadis-e-Rasool(saw) ki tilawat ki surat main kiya..ibn-e-Quteba ne biyaan kiya hai ke jub Muhammad(r.a) bin abubakar jung khatam honay ke baad Ayesha k pas gaey tou Ayesha ne kaha mene Khud Nabi(saw) ko farmatey huey suna hai ke haq Ali(as) ke sath hai aur Ali(as) haq ke sath hai…”Al Imama wal Siyasa safa 130 matboa misr…

Page 51: The True Face of Ayesha Bint
Page 52: The True Face of Ayesha Bint
Page 53: The True Face of Ayesha Bint

Aur umul momineen Umm-e-salma(r.a) ne bhi riwayet ki hai Nabi(saw) ne farmaya Ali(a.s) haq ke sath hai or haq Ali(a.s) ke sath hai..(hakim ne issey bokhari o muslim ki sharayet per sahih qarar diya hai)

Al-Mustadrak jild 3 safa 138 hadis 4675 matboa makka…

Ayesha ka Ali(a.s) se jung karna dar asal aik azeem gunnah tha balkey kufr tha kyunke bila shuba Ameer-ul-Momineen(asws) se jung karna Nabi(saw) se jung karna hai kyunke Huzoor(saw) apni zahiri hayaat main akser Ameer-ulMomineen(asws),Syeda tayyiba o tahira siddiqa-e-Kainaat Fatima tuz Zahra(saw) Imam Hassan(asws) or Imam Hussain(asws) se farmaya kartey thay ke jo tum se lara goya wo mujh se lara or jisney tum se sulah rakhi goya ussney mujhse sulah rakhi issey ibn e maja zaid ibn-e-arkam(r.a) aur hakim ne abu huraira se basannad-e-hassan riwayet kiya hai aur zaid bin arkam ki sannad ko isski shahid qaraar diya hai k Rasool(saw) ne Ali(a.s) Fatima(s.a) Hassan(as) or Hussain(a.s) se farmaya jisney tumse jung ki ussney mujh se jung ki or jisney tumse sulah rakhi ussney mujh se sulah rakhi…

1-Ibn-e-Majah al sunan jild 1 safa 73 hadis 151

2-Mustadrak al hakim jild 3 safa 174 hadis 4776

Inn riwayaat se saabit hota hai ke Ayesha ne kitney azeem gunaah ka irtikaab kiya aur yeh bhi saabit hota hai k Ayesha subdhri nahi thieen aur Ayesha ka ye iqdaam sarasar quran o hadis k khilaaf tha quran main tou Allah ne Nabi(saw) ki azwaaj ko gharon main thehrey rehney ki talqeen farmaai hai magar afsos k Ayesha ne quran ki iss ayat per bhi amal na kiya aur jo log Alllah talla ki ayaat ko jhutlaatey hain unka emaan main koi hissa nahi lehaza Ayesha k mutalliq husn-e-zan rakhna sarasar quran o hadis ki mukhaliffat hogi….aur inn riwayaat ke hawala jaat bohot he ziyada hain magar hum waqt ki killtat ki bina per mukhtasarun zikr kar rahey hain aur kum hawaley pesh kar rahey hain….

Page 54: The True Face of Ayesha Bint
Page 55: The True Face of Ayesha Bint
Page 56: The True Face of Ayesha Bint
Page 57: The True Face of Ayesha Bint
Page 58: The True Face of Ayesha Bint
Page 59: The True Face of Ayesha Bint
Page 60: The True Face of Ayesha Bint

Ab her musalmaan ko iss baat per yaqeen rakhna chaheeay k Ayesha ne dar-asal Nabi(saw) se jung ki thi jubkey Ayesha Ali(as) ki fazeelat se waaqif bhi thieen or Rasool(saw) se Ali(as) ki fazeelat main hazaron hadeesain bhi sun chukka thieen magar unhon ne Huzoor ki hadeeson ko challenge kiya or asarasar RasoolAllah(saw0 ki mukhaliffat main Ali(as) se jung ki